Hookah Flavors Plane Me Le Jaye Ya Nahi? | Complete Guide

Hum is post me baat karenge ki kya aap hookah flavors plane me le ja sakte hai ya nahi. Hum is topic ko 5 different factors ke through samjhne ki koshish karenge.

1. Airlines and Regulations

Har airline company ki apni alag guidelines hoti hai, jisme wo mention karte hai ki passengers apne sath kya-kya samaan onboard kar sakte hai. Jaise Air India, Indigo, Emirates, sabki apni apni guidelines hai.

Yahan kuch airlines ki guidelines hai:

    • Air India:

        • 250 grams (5 x 50 grams packs) tak ke flavor le ja sakte hai.
        • Flavor sealed hone chahiye.
        • Agar flavor sealed nahi hai, to airline use accept nahi karegi.
    • Indigo:

        • 250 grams (5 x 50 grams packs) tak ke flavor le ja sakte hai.
        • Flavor sealed hone chahiye.
        • Agar flavor sealed nahi hai, to airline use accept nahi karegi.
    • Emirates:

        • 250 grams (5 x 50 grams packs) tak ke flavor le ja sakte hai.
        • Flavor sealed hone chahiye.
        • Agar flavor sealed nahi hai, to airline use accept nahi karegi.

2. Quantity

Zyadatar airlines company ne flavors ki zyada quantity laane par restriction laga rakhi hai. To kitna le jaya jaa sakta hai ?

Typically, jo limit hai, wo hai around 250 grams (5 x 50 grams packs). Halaaki kuch log 5-7kg flavors bhi le aate hai. lekin according to the rules, badi quantities ke liye documnetatios ya special permission ki zarurat bhi pad sakti hai.

3. Packaging

Sirf quantity hi nahi agar apka flavor sealed nahi hai, leak kar raha hai, ya beh raha hai. To bahut difficult hai ki apka flavor airline tak jaane denge. Isliye apne flavor ko ache se seal pack check kijiye. Warna airport pe zabt kar lijiye jayenge. Jis se apka loss ho sakta hai.

4. Location

Har location ke alag regulations hai.apke origin ke alag regulations ho sakte hai aur destination ke alag. Kuch countries me thode easy rules hai. Lekin kuch countries me kaafi strict rules hai.

Jaise middle east me, european countries me flavor le jaane me abhi tak aisa dekha gaya hai ki logo ko kaafi dikkat aati hai.

5. Customs

Agar aap international travel kar rahe hai. To ho sakta hai custom department apse awaal puche. To flavor ki quantity aur quality se related answer dene ko aapko ready rehna chahiye.

Summarize kare agar:

    • Domestic flight me thoda bahut flavor le jana usually chal jata hai.
    • Agar aap 50gms ka pack le jaa rahe hai to, upar ka ye box hi hata dijiye aap araam se le jaa sakte hai.
    • In fact, black mamba ke ye herbal flavors to araam se hi le jaa sakte hai.
    • Lekin.
    • Airline ki website ya app pe baggage restrictions zarur check kar lijiye.
    • Bahut zyada hookah flavors le ke mat chaliye.
    • Hookah flavors sealed hone chahiye, properly packed.
    • Agar pucha jaye to customs pe declare bhi kar dijiye.

Aakhiri me special note ki

Ho sakta hai airline shiaha and flavors dono hi allow kar de. Lekin charcoal pe restrictions ho, iske kaafi chances hai.

Isliye pehle hi clarify kar lijiye

Taaki airport pe zyada complications naa ho.

Tensn ki baat nahi hai, pilots and cabin crews wale bhi bahut log hookah lover hai aur unmse se kai to apne sath le ke bhi chalte hai.

Mujhe umeed hai ki ye video aapke liye helpful rahi hogi. Agar aapke koi aur questions hai to please comment me bataye.

For more such videos, please subscribe to our channel.

Back to blog

Leave a comment

Please note, comments need to be approved before they are published.